Posts

Showing posts from 2019

Ahsaan walden kaa.......

Jaagte rehte the mujhe dekh kr , wo kabhi soya nahi karte the............... Dard jo kuch bhi ho sah lete the, samne mere kabhi roya nahi krte the.......... Mai unke ahsaason ko kese mitti me mila du......................???? Mai jiss kapde se poch leta tha aasu apne, wo kabhi usse dhoya nahi krte the..........

Wajah sone ki....

Ab subha se jayada shaam ka intzaar hota hai....... Dil ab had se jayada bekaraar hota hai........ Neend aati hai, khulti hai har baar..... Karwat badalne se badalne tak, bs tera deedar hota hai.

aakhri baar milne se kon hamara reh gya.......

Wese bhi ab sirf yaadon ka hi sahara reh gya...... Band aankhon mai mulaqat ka nazara reh gya..... Rukhsati ko, mitti ko, or Mooh dikhai ko tarse........ aakhri baar tumse milna hamara reh gya.............

Ab agar baat hi karni hai to..

Ab agar baat hi karni hai to ... Latifo ki, kisso ki, kahani ki karu... Magar ab naa mai koi baat purani karu.. Dil, zigar, jaan ye bahut purane hai... Intzaar ab mai saari jawani karu... Ab agar baat hi karni hai to.. Latifo ki, kisso ki, kahani ki karu... Kae din, kae saal or bahut kuch aaye gaye. Magar ab kyu has kr baat karu,  Kyu kisi ko diwani karu........ Ab agar baat hi karni hai to.. Latifo ki, kisso ki, kahani ki karu... Ansu, gum, taqlife di ye kamal hai uska. Magar udaasi ko kyu meri shaqshiyat ki nishani karu...... Ab agar baat hi karni hai to.. Latifo ki, kisso ki, kahani ki karu... Magar ab na mai koi baat purani karu..

Tu jab bhi yaad aata hai...

Tu jab bhi yaad aata hai.... Tu jab bhi yaad aata hai... Mujhe hasna or rona ha ye dono  saath aata ha..... Tu jab bhi yaad aata hai... Tere jane gum or ankhon ka yu num sa hojana... Kabhi fir yaad kr k baat teri khud hi muskana..... Palat kar dekhna tera wo jab bhi ruth kar jaana.....  yaad aata hai. Tu jab bhi yaad aata hai... Mujhe hasna or rona ha ye dono saath aata hai. tu jab bhi yaad aata hai. Sadaye de k tujhko hi mai aksar yaad krta hu. Chalakti  ankhon  se aqsar bs yahi fariyaad krta hu. Subha shamo sahar mai teri ha mai teri raah takta hu. Bujurgo ki kahawat ek jo mai yaad rakhat hu... Sunna hai sham ko bhula subha  ka lout aata hai... Mujhe hasna or rona ha ye dono saath aata hai. Tu jab bhi yaad aata hai.... Ye rahna doston k saath or mahafil mai kahi jaana... Wo tera saath na hona magar har  yaad mai aana.. Wahi pal bus wahi pal ha ha wahi har ...

Kambakht zamana

Adhure khwabo ka khazana hai mere pass. Ek mukammal zindagi ka fasana hai mere pass. Jo har baar thokar de kar chalna sikhata hai.......... Mozud wo kambakht zamana hai mere pass.

Meri maa

Jisk kadmo mai jannat samae hue hai Ban ke rangat jo ghar mere chae hue hai. Jisne sab kuch saha par kaha kuch nahi.. Kr diya jisne roshan Banakr mujhe.. Ban k Noore khuda maa aae hue hai...

Ghar ki yaad

Poolon ko, baharon ko sitam dhane do. Chaman k najaron ko najar aane do. Kuch din se dil ki dhadkan rok raha hu.. Har baar dhadak kar kahti hai mujhe ghar jaane do...

Meri guhaar

Rote bilakte baccho ki aawaz thamni chahiye.... Intzaaro se bhari wo raat thamni chahiye.. Kae ghar laharon mai dafan ho gaye hai mola... Wasta tujhko teri rahmat ka, ab ye barsaat thamni chahiye....

Pagal bana deta to achaa tha

Muhabbat ka ghana badal bana deta to achaa tha. Mujhe uss aankh ka kazal bana deta to achaa tha. Usse pane ki khwaish ab mujhe jeene nahi deti.... Khudaya tu mujhe pagal bana deta to achaa tha..

Meri pukaar

Tum hi bhari bahar se aage nikal gaye. Tum mere intzaar se aage nikal gaye. Wo to tumhare picche badi door tak gae.... Tum hi meri pukaar se aage nikal gaye.

Teri yaad aaye to...

Tu jo khwabo mai bhi aajaye to maila kr de. Gam ke maruthal mai bhi barsaat kaa rela kr de. Yaad wo hai hi nahi aaye jo tanhae mai ..... Teri yaad aaye to maile mai akela kr de.

Pyar krna chahiye

Rang is mousam mai bharna chahiye.. Sochata hu pyar krna chahiye. Pyar ka izhar dil mai ho magar....... Koi puche to mukarna chahiye. Or , Doston se tazruba ye hogya ... Dushmano se pyar krna chahiye.... Rang is mousam mai bharna chahiye.

The reason for love

Pyar nazro mai aana nahi chahiye. Rooz se milna milana nahi chahiye. Maine ye soch kr dediya dil usse .. Dil kisi ka dukhana nahi chahiye.

Faisla shadi kaa

Aankhon - Aankhon k ek ishare se..... Lagae kashtiya kanare se..... Fasla kr liya hai shadi kaa... Ek kuwari ne ek kuware se......

Waqt ki sacchae...

Kaha koi mila essa ki jis par dil luta dete. Har ek ne dhokha diya kis kis ko bhula dete. Or apne dil k dard ko dil hi mai dabaye rakhe hai..... Karte baya to mahafil ko rula dete.....

Eid kaa intzaar

Intzaar khatm hua ki shayad wo bankar eid aarahi hai.. Magar Bas har raat yahi gaflat sata rahi hai. Mai bhi sabar o intzaar ka imtiha zindagi bhar de sakta hu.... Shart bas itni si hai ki..... Jab bhi aaye lage ki wo khud aarahi hai..

Tazruba e zindagi

Fool mar jaye ga kaanton mai fas nahi sakta. Nafraton k shahar mai, mai to bas nahi sakta. Ummar choti hai magar tazruba bada hai mera....... Pyar dil mai naa hoto koi has nahi sakta....

Daastan -e- ummeed

Mai is ummid se duba ki tu bacha lega. Ab isse badkr mera imtiha kya lega. Ye ek maila hai wada kisi se kya lega. Dhalega din to har koi apna rasta lega. Mai bujh gya to hamesha ko bujha hi rahunga, Koi chirag nahi hu ki tu fir se jala lega. Kaleja chahiye dushman se dushmani k liye.... Jo be amal hai wo badla kisi se kya lega. Mai uska ho nahi sakta bata na dena use Sunega to lakiren apne haat ki wo jala lega. Hazar tod kr aajau usse rishta akram Mai jaanta hu wo jabhi chahega bula lega......

Eid special

Isse pahale ki hawa shoor machane lag jaaye. Mere khudaa meri khaakh thikane lag jaaye. Or ab eid kaa intzaar hota nahi mujse. Wo aake gale kisi or bahane lag jaaye...

Endless life

Gujre huye waqt ki har aas zinda rahi. Mar gaye hum magar pyass zinda rahi. Sari umar deedar ki jaddo jahad mai nikal gae,........ Magar mout k baad bhi,  talaash zinda rahi.