Posts

Showing posts from December, 2019

Ahsaan walden kaa.......

Jaagte rehte the mujhe dekh kr , wo kabhi soya nahi karte the............... Dard jo kuch bhi ho sah lete the, samne mere kabhi roya nahi krte the.......... Mai unke ahsaason ko kese mitti me mila du......................???? Mai jiss kapde se poch leta tha aasu apne, wo kabhi usse dhoya nahi krte the..........

Wajah sone ki....

Ab subha se jayada shaam ka intzaar hota hai....... Dil ab had se jayada bekaraar hota hai........ Neend aati hai, khulti hai har baar..... Karwat badalne se badalne tak, bs tera deedar hota hai.

aakhri baar milne se kon hamara reh gya.......

Wese bhi ab sirf yaadon ka hi sahara reh gya...... Band aankhon mai mulaqat ka nazara reh gya..... Rukhsati ko, mitti ko, or Mooh dikhai ko tarse........ aakhri baar tumse milna hamara reh gya.............

Ab agar baat hi karni hai to..

Ab agar baat hi karni hai to ... Latifo ki, kisso ki, kahani ki karu... Magar ab naa mai koi baat purani karu.. Dil, zigar, jaan ye bahut purane hai... Intzaar ab mai saari jawani karu... Ab agar baat hi karni hai to.. Latifo ki, kisso ki, kahani ki karu... Kae din, kae saal or bahut kuch aaye gaye. Magar ab kyu has kr baat karu,  Kyu kisi ko diwani karu........ Ab agar baat hi karni hai to.. Latifo ki, kisso ki, kahani ki karu... Ansu, gum, taqlife di ye kamal hai uska. Magar udaasi ko kyu meri shaqshiyat ki nishani karu...... Ab agar baat hi karni hai to.. Latifo ki, kisso ki, kahani ki karu... Magar ab na mai koi baat purani karu..